RDBlog

News, Happenings, Opinions, Articles...

Sunday, October 20, 2002

From Pancham Group: Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 18: Episode 10, Part 1

The episode hints a sense of camaraderie and mutual respect that was part of
music industry's culture in Pancham's previous generation.

In fact, Pancham continued with the same spirit with his contemporaries
(Laxmi-Pyare, K ji-A ji). Seems a much different scene today.

Enjoy!

Vinay



Friday, October 11, 2002

Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 17: Episode 9, Part 2

Asha talks about one of the 'difficult' songs that Pancham gave her to sing. The song is "daiyaa ye mai.n kahaa.N aa pha.Nsii" from 'Caravan'. Pancham tells how Nasir Hussain used to work on songs.

I especially liked Pancham's categorization of the song -"jo marjii kar rahii hai" type. :)

Enjoy!

Vinay

=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 17: Episode 9, Part 2

Asha:
ba, jaise aapane mujhe aasaan gaane diye, sabako aapane aasaan gaane gawaaye.. mere saath mushkil mushkil gaane aap kyuu.N leke aaye, mere ko aaj tak samajh
me.n nahii.n aayaa..

Gulzar:
achchhaa aap ba.Dii shikaayat karatii hai.n Pancham se.. kabhii to ye kahatii hai.n ki bahut achchhaa gaanaa to diidii ko de dete hai.n (ha.Nsii) aur ab kah rahii hai.n ki mushkil gaane mujhe de diye..

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 16: Episode 9, Part 1

Resuming the series after a short, unplanned break. Though as much I fear that the absence might not have even been noticed, I will yet try to continue posting the remaining parts of the series, at regular frequency.

Today's part is about a lovely, exuberant, fresh and highly unusual (in terms of execution, and without much ado about it) song from Ijaazat - baarisho.n ke paanii se. One interesting thing that is discussed in this episode is the way, as Gulzar describes, a song's music creation process gives picturisation ideas to the director. On second thoughts, it might well have been an exclusive Gulzar-Pancham case.

The song in question, however, would present, even to a visually challenged a very descriptive imagery of a rain-soaked valley - just the music of it. Of course, those who have seen it on screen would find themselves inside the valley, even before the prelude is finished.

Enjoy.

Vinay

P.S.: I am also posting the Nagari Unicode version of the episode along.


=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 16: Episode 9, Part 1

Asha:
gaane ham roj gaate hai.n. sunate bhii roj hai.n... doosaro.n ke gaane. par apanii khaas ek pasand hotii hai.. jis_me.n wo gaanaa apane man ko achchhaa lagataa hai. shaayad apane jeevan kii kisii yaad se ju.Daa hotaa hai. sur achchhe hote hai.n.. yaa 'picturise' bahut achchhaa kiyaa hotaa hai.. jo apane man me.n hameshaa ke liye wo rah jaataa hai

Gulzar:
kis gaane kaa zikra ho rahaa hai?

Asha:
mai.n ye gaanaa kah rahii hoo.N.. baarisho.n ke paanii se.. jo aapakaa likhaa huaa hai..

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 15: Episode 8, Part 2

In this interesting piece of conversation, Pancham delightfully remembers his assistant days. He also enlightens listeners about how two of the SD classics originated.

One can see a lot of Pancham here - his honesty, humility, sense of humor, and a typical, normal yet special relationship with his father.

Enjoy!

Vinay

=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 15: Episode 8, Part 2

RD:
ye is_ke baad is 'program' me.n kuchh roshanii Daale.nge?

Asha:
(ha.Nsee) mai.n roshanii wagairah kuchh nahii.n Daal sakatii, lekin jo mujhe pasand hai gaanaa wo mai.n aap_ko bataatii hoo.N.. mujhe bahut pasand hai... meraa khayaal hai rafi saahab kaa hii gaanaa hoga.. "khoyaa khoyaa chaa.Nd"

Gulzar:
"khoyaa khoyaa chaa.Nd" kaa ek kissaa mujhe yaad hai.. aap kaa bataayaa hu_aa, pancham. ki pitaajii ne mukh.Daa lene ke liye gaane kaa, aap_ko shailendra jii ke paas bhejaa thaa. aur subah se shaam tak jahaa.N shailendra ji jaa rahe hai.n, wahaa.N ye saath saath me.n jaa rahe hai.n (ha.Nsee)

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 14: Episode 8, Part 1

Pancham again diverts the discussion to others, this time to one of his contemporaries and a friend - Laxmikant, and Gulzar talks about a song of his with LP from 'Palkon Ki Chhaaon Men'.

Enjoy!

Vinay

=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 14: Episode 8, Part 1


Gulzar:
sun_ne waalo.n ko namaste..

RD:
are gulzar.. aaj kya hua 'traffic' ki wajah se asha tho.Dii 'late' aane walii hai, to ham log ye 'program' shuru kar de.n?

Gulzar:
Theek hai.. shuru kar dete hai.n.. ab ye baat zaroor hai ki unke baGair wo ras nahee.n aayega...

RD:
mai.n daawe se kahta hoo.N, ek gaana sunte hai.n.. wo zaroor aa jaaye.ngii..

Gulzar:
achchha chalo..

RD:
to ham log kya baat kare.n?

Gulzar:
bas bismillah kiijiye..

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 13: Episode 7, Part 2

Gulzar defends Pancham's use of Asha v/s Lata, with a unique analogy.

Enjoy!

Vinay

=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 13: Episode 7, Part 2

Asha:
asal baat to Taal gaye aap..

Pancham:
kyaa, bataa_iiye..

Gulzar:
ki ye gaane hameshaa deedee ko kyuu.N dete hai.n.. ilzaam to aap par hai.. :)

Pancham:
lekin ek gaanaa Gulzar yaad karo.. ghar jaayegee

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 12: Episode 7, Part 1

Asha raises the point, which her fans do more often - that Pancham gave his better compositions to 'Didi' and not her. Pancham's response to this allegation (which of course he thought was unfair) will continue in the next part.

Enjoy..

Vinay


=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 12: Episode 7, Part 1

Gulzar:
sun_ne waalo.n ko namaste.. is_se pahale kee Asha jee kahe.n yaa Pancham kah de.n, mai.n ye baajee is baar le loo.N.

Pancham:
bha_ii ye baajaa yahaa.N pe pa.Daa huaa hai

Asha:
(tarannum me.n) seelee hawaa chhoo ga_ii, seelaa badan chhil gayaa (Pancham, Gulzar: waah!) neelee nadee ke pare, geelaa saa chaa.Nd khil gayaa.

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 11: Episode 6, Part 2

Another national award helped by RDs composition.

I am also providing the text in devanagari. It is just an alternate transcripted version of the same content that is provided first in Roman. Let me know (in personal mails to me) your opinions on this.

Enjoy..

Vinay

=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 11: Episode 6, Part 2

'RD':
ye 'national award' jo is gaane me.n milaa hai ye to bahut achchhee baat hai.. doosaraa aur ek gaanaa thaa.. bahut puraanaa ko_ii gaanaa.. mujhe yaad nahee.n aa rahaa..

'Gulzar':
bahut puraanaa nahee.n hai.. wo aap_ko bahut aadat ho ga_ii hai 'national awards' kee (ha.Nsee).. doosaraa gaanaa bhee aap hee kaa 'compose' kiyaa huaa hai.. ('RD': kaun saa?) beetee naa bitaa_ii rainaa.. jis_pe ('RD': jee haa.N) deedee ko 'national award' milaa thaa

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 10: Episode 6, Part 1

In this part, the 'tikD.ee' discusses creation of "the luggage song", which brought Asha a national award.

Enjoy!

Vinay

=========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 10: Episode 6, Part 1

Asha:
namaskaar. ham teenoN aapke saamne phir se hazir haiN. maiN aaj aapko wo gaaana sunaane ja rahee hoo.N jisko mujhe 'national award' mila tha. us gaane kee khaas baat hai.. ki usmeN jo likhne waale ne aise naazuk naazuk cheejeN deeN hai ki mera man awaak ho gaya tha sunke.. jaise mera man.. geela man bistar ke paas paD.a ho.. (sabkee ha.Nsee) wo Daalee kaa.Np rahee ho ya chhataree ke neeche ham ja rahe hoN.. aise naazuk naazuk cheejeN dee haiN.. kya thee aap bataaiye..

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 9: Episode 5, Part 2

The already-famous kishore-mehbooba-shivaranjinee kissa..

Enjoy!

Vinay

========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 9: Episode 5, Part 2

Asha: bilaaskhaani ka aap ko bataya... aap ne bhi shivranjinee meN bahut sundar gaane banaaye the wo zara bataaiye.

RD: shivranjinee meN hamne shaayad ek hee gaana banaaya tha (Gulzar: kaun sa)

Asha: mere naina saawan bhaado

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 8: Episode 5, Part 1

The episode talks and puts to rest the dilemma of listeners about the use of 'jooThe' or 'jhooThe' in a couple of Gulzar songs.

Enjoy..

Vinay

========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 8: Episode 5, Part 1

RD:
namaskaar!
achchha asha jee, ek baat bataaiye ki.. mera gaana naheeN ho.. aisa kaun sa gaana ho.. jo aap aur gulzar ne kaafee mehnat karke gaana banaaya ho.. jis_meN aap_ne bahut mushkil aur mehnat karna paD.a, jo aapako (waise) karna paD.ta hee naheeN..

Asha:
waise.. ye gaana hai.. mere bhaaii hridaynath ka.. uska banaaya hua.. aur us 'picture' ka hai jiskee 'story', 'dialogue', 'direction' (RD: sab gulzar hai :)) gulzar saahab ka hai. (Gulzar: jee samajh gaya) aur ye gaana khaas taur pe maiN bataana chaahtee hoo.N ki.. ye bilaaskhaanee hai. bilaaskhaanee toD.ee jo hai, ye ekdam shuddh hai.
ismeN kuchh unhone milaawaT naheeN kee. kyoNki ye 'story'.. sau saal puraana kuchh gaana bataaya gaya hai.

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 7: Episode 4, Part 2

Gulzar speaks about his favourite topic - children. Tells how the younger ones should be handled as far as words and poetry are concerned. Few people do it better than him.

Enjoy!

Vinay

========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 7: Episode 4, Part 2

RD:
asha hee batayegi kis tareeke se pitaajee se kya kya cheejeN seekhee haiN..

Asha:
jee haaN.. kaise aawaz ko lagaana chaahiye ye cheej maiN_ne un_se seekhee.. baad meN phir bataaoo.Ngee.. pah_le aap mujhe ek baat bataa_iiye..

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 6: Episode 4, Part 1

I have already posted bits from this episode earlier in response to a thread, but for the sake of continuity of the series, I am posting it again.

Enjoy...

Vinay

========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 6: Episode 4, Part 1

Gulzar:
sun_ne waloN ko ham teenoN kee taraf se maiN namaksaar kar_ta hooN

ham_ne pichhlee baar khatm kee thee baat sachin da pe.. (jee). burman saahab, baD.e burman saahab par.. aur pancham aap bataane waale the hameN daada kee 'compositions' ke baare meN kuchh.. ki kis tarah se kahaaN se ek paNkh uThaakar parindaa bana liya karte the..

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 5: Episode 3, Part 2

The first song of RD Burman is followed by the first of Gulzar. In this episode they talk about Gulzar's 'ticket' to film industry. Interestingly, the debut of both Gulzar and Pancham is linked together in a strange manner (hinted by RD below).

Enjoy..

Vinay

========================================================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 5: Episode 3, Part 2

Asha:
gulzar bhaaii, maiN_ne suna hai mora gora ang le_i le, ye gaana aap_ne filmoN meN pahalee baar likha tha

Gulzar:
jee haaN..

RD:
ek 'second'.. ek 'second'.. ek 'second'.. is_ka bhee ek kissa hai.. (hansee) kya hai ki gulzar jo hai.. gulzar tabhee naya naya likh_ta tha.. maiN pitaajee ka 'assistant' hua karta tha.. matlab unka pyaada. to 'bimal roy production' meN ham jaate the.. maiN kuchh tabala bajaata tha aur pitaajee gaate the.. to pitaajee bahut 'conscious' the ki ye gulzar 'meter' meN likhega kya. (Gulzar ki 'jor ki ha.Nsee' - yes, 'LOL').. is_ke baare meN aap_ko baad meN sunaaooNga saaree baateN.. par pitaajee bahut khush the ki unhone jo gaana gaaya, huu-ba-huu inhone usee tarah se likha.. aur bahut bahut baD.hiya likha

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 4: Episode 3 Part 1

RD talks about his first song and how the famous break-up between Lata and SDB ended.

Vinay


===================

Asha:
namaskaar. aaj ham phir aap_ke saamne aaye haiN

Gulzar:
is_se pahale ki ham aage chaleN, soch raha tha maiN pancham se poochhoo.N ki jo pahala gaana hai in_ka, jo ye 'industry' meN aaye the jab diya tha ya 'record' kiya tha, wo tajurba..

RD:
mera pahala gaana gulzar, 'chhote nawaab' film ka tha.. aur us_meN pahala gaana jo hai.. deedee matlab lata jee gaayee theeN.. aur us gaane ke baare meN bahut dilchasp kahaanee hai.

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 3: Episode 2, Part 2

In this part they talk about another gem that came out of the RD-Gulzar factory - 'raina beetee jaaye'. RD makes an interesting point regarding the use of raag-based songs in filmi situations. One can also see that RDs process of song-making was not entirely devoid of considerations for aspects of classical music. So next time if you
find a trace of a raag in an RDB song, don't just pass it as a chance. He really meant it. He knew his raags better than he made us believe he knew.

Enjoy..

Vinay


======================
Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 3: Episode 2, Part 2

Asha:
burman saahab (sings..) raina beetee jaaye, shyaam na aaye, raina beetee jaaye (RD: waah.. ye gaanaa "aapko" kaise yaad aa gaya) pata naheeN ye bahut sundar gaana hai.. mujhe bahut pasand hai.

ye gaana ye raag aapne raat ko kaise diya.

more @ Pancham Group



Meree Sangeet Yaatra - R D Burman - 2: Episode 2, Part 1

[The song 'dil Dhoo.NDhta hai' is playing]

RD:
Gulzar saahab, ye jaise Madan ji ne 'compose' kiyaa
thaa na... unkee koee khaasiyat aap agar bataayeN to..

more @ Pancham Group



From Pancham Group: Meree Sangeet Yaatra - Rahul Dev Burman - 1

Here's something which has been a source of great insight for me into Pancham, both as a human being and a music composer. It has also answered me a lot of questions, not only related to Pancham, Gulzar and Asha and many of their songs but some others as well.

As you might know 'Meree Sangeet Yaatra' was a radio series (part of their regular programme 'Sangeet Sarita'), and was broadcasted on Vividh Bharati sometime in late 80s (After release of Dil Padosi
Hai). It was then re-aired in Feb 1994, after RD's demise. And now there's a talk of another re-broadcast of the series. Just make sure you don't miss it, if it happens.

I have the entire recording with me (as may be many others) and plan to share it with you in a different format, that is through text transliteration. Of course, this is nowhere near the same as listening the voices of the trio with all the nuances and emphasises
and chuckles.. but I have tried my best to reproduce it at least verbatim. I will be doing one song at a time. A typical episode had two songs. The series consisted of 15 such episodes. And we are starting
from the very beginning. This episode is produced in full..

Meree Sangeet Yaatra - Rahul Dev Burman
with Gulzar and Asha Bhonsle

Aired on Vividh Bharati
Episode 1
=======================================

Gulzar:
sangeet sarita ka 'program' sunne waaloN, namaste..
...

The trio talks about "bheenee bheenee bhor" from DPH





Archives

July 2002
August 2002
September 2002
October 2002
November 2002
December 2002
January 2003
February 2003
March 2003
April 2003
July 2003
August 2003














Home